Nahi Kinara Pyar ka











{July 30, 2010}  



{July 30, 2010}  



{July 25, 2010}  



{July 6, 2010}  

Meri taqdeer se pooch meri qismat ka faisla.

Meri muskurahat pe na ja mere dard ko talaash ker


Meri aankhon se pooch mere intizaar ki inteha.

Mere itminaan pe na ja mere sabr ko talaash ker


Mere pyar se pooch mere pyar ka aalam.

Meri soorat pe na ja meri seerat ko talaash ker



{July 6, 2010}  

Na Pooch Mere sabr Ki Inteha Kahan Tak Hai

Tu Sitam Kar Lay Teri Taqit Jahan Tak Hai




Wafa ki umeed jinhein Ho gi, Unhein Ho gi

Hamain to Dekhna hai, Tu Bewafa Kahan Tak Hai



{July 6, 2010}  

o Teri Mohabbat Main Duniya Se Begana Tha


Woh Ek Tha Pagal Jo Tera Deewana Tha


Afsos Ke Tum Ne Mujh Ko Samjha Hi Nahi


Main Tu Tera Apna Tha Nahi Koi Anjana Tha


Apna Bana ke Tum Ne Mujh Ko Akela Chor Diya


Ek Pal Main Rishta Tor Diya Jo Ke Buhat Porana tha


Kehten Hain Ke Tumaray Dil Main Hain Zakham Beshumar


In Zakhmoo Ko Metanay Ke Liyen Is Dil Ko Tu Jalana Tha.


Ab Kia Roona Hai Is Bewafai Par


Is Bewafa Sanam Se Acha Tu Ye Bewafa Zamana Tha



{July 6, 2010}  

Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar

Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai..

Kary Pyar ,Lab Pay Koi Gila Na Hoo

Yeh Kissi Kissi Ka Naseeb Hai




Yeh Karam Hai Uski Jafa Nahi

Wo Juda Bhi Rehkay Qareeb Hai

Wo Aankh Hai Mere Ru Baru

Ussi Haath Mein Mera Haath Hai




Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar

Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai

Mera Nam Tak Jo Na Lay Saka

Jo Mujhay Qarar Na Day Saka




Jissay Ikhtiyaar Tau Tha Magar

Mujhay Apna Pyar Na Day Saka

Wohi Shakhs Meri Talassh Hai

Wohi Dard Mera Hayaat Hai




Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar

Wohi Aaj Tak Meray Saath Hai



{July 6, 2010}  

Teri Yaadon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahin

Ek pal Nahin jab Tumhe Humne Pukaara Nahin

Meri Naakaamiyon Ka Itna Bhi Ghum Na Kijiye

Agar aap Jeete Hain to Main Haara Nahin

Ye Naqsh-e-Dard Kaise Utar Jaaye Chehre Se

Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahin

Tere bin Youn Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein

Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahin

Kar Rakhaa Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala

Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahin

Kisko Gale Lagaa Ke Rooyen Na-Muraad Hum

Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahin

Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka ab

Gehre Hain Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahin

Wo aa Ke Poonchh Den Aansu Hamari Aankhon se

Itna bhi Hamare Haq Mein Naseeb Hamara Nahin



{July 6, 2010}  

chaha to bohat tha lekin..

Chaha tu bohut tha lekin wo mila hi nahi,

Laakh koshish ki mager yeh fasla mita hi nahi,

Na jany zamany ny mujboor is qader ker diya,

Ky wo meri kisi sada pay thera hi nahi,

Mien tamam ter koshishoo ky bawajoud har gaai,

Wo usay mil gaya jis ny is ko manga hi nahi,

Her ik say poucha tery na milny ka sabub,

Her ik ny kaha wo tery liye bana hi nahi,

Itni shiddut say chaha tha us ko,

Is duniya may shayed wafa ka sila hi nahi



{July 6, 2010}  

Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi

Main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi


Har aik maslay ka hal nikal rakhti thi

Zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi


Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha

Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi


Bas aik woh thi jisay ghaow main dikhata tha

Bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi


Woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say

Woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi


Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main

Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi


Duain us ki balaon ko rook laiti thin

Woh mairay chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi


Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni

Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi


Usay nadamatain mairi kahan gawara thin

Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi


Bichar kay uss say main dunya ki thokaron main hon

Woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi


Sahar tha naam , ujalay ghulam thay us kay

Woh zindagi kay andhairay ujaal rakhti thi


Woh muntazir mairi rehti thi dhop main shaid

Main laut – ta tha to chaon nikal rakhti thi



et cetera